Bahut khoobsurat ho tum
kabhi main kahu k mohabbat hai tumse
to mujhko khudara galat na samajhna
k meri jaruirat ho tum
bahut khoobsurat ho tum
hai phoolo ke jaisi ye baahe tumhari
hai khamosh jaadu nigahe tumhari
jo kaante ho sab apne daman me bhar loon
saaja do main kaliyo se raahe tumhari
najar se jamane ki khud ko bachana
kisi or se dekho dil na lagana
k meri jaroort ho tum
bahut khoobsurt ho tum
hai chahra tumhara k din hain sunhara
unpe ye kali ghatao ka pahra
gulabo sa najuk mahakta badan hain
hai lab ye tumhare k khilta chaman hai
bikhare jo julfe to sarmaye badal
jo fariste bhi dekhe to ho jaye pagal
wo pakija murat ho tum
bahut khoobsurat ho tum
jo bankar kali muskurati hai aksar
tanhaito me jo rulati hai aksar
jo lamho hi lamho me duniya badal de
jo shayar ko de jaye pahlu gazal ke
chipana bhi chau to chipaye na jaye
bhulana jo chahoon to bhulaye na jaye
wo pahli mohabbat ho tum
bahut khoobsurat ho tum
bahut khoobsurat ho tum
kaise kahu ke kitna pyar hai tumse
kaise kahu k dil ka karar hai tumse
tumhari yaad se hi hooti hai mri har subha or sham
k main jinda hoon ye bhi ahasas hai tumse
This comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDelete